Saturday 22 December 2012

Rehne ko sadaa dahar mein aata nahin koi


Rehne ko sadaa dahar mein aata nahin koi
tum jaise gaye aise bhi jaata nahin koi

ek baar toh khud maut bhi ghabra gayi hogi
yun maut ko seene se lagaata nahin koi

darta hoon kahin khushq na ho jaaye samundar
raakh apni kabhi aap bahaata nahin koi

saaqi se gila tha tumhein, maikhaane se shikwaa
ab zahar se bhi pyaas bujhaata nahin koi

maana ki ujaalon ne tumhein daag diye the
beraat dhale shama bujhaata nahin koi

rehne ko sadaa dahar mein aata nahin koi
tum jaise gaye aise bhi jaata nahin koi

0 comments:

Powered by Legendpoetry All rights reserved