Monday 7 January 2013

Dekhna Jazbe Mohabbat Ka Asar, Aaj Ki Raat


Dekhna Jazbe Mohabbat Ka Asar, Aaj Ki Raat
Mere Shaane Pe Hai Us Shokh Ka Sar, Aaj Ki Raat

Noor Hi Noor Hai Kis Simth Uthaoon Aankhen
Husn Hi Husn Hai Taahath-E-Nazar Aaj Ki Raat

Read more...

Thursday 3 January 2013

Main aisi mohabbat karta hoon


Main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon

Read more...

Wednesday 2 January 2013

Dard Badhkar Fughan Na Ho Jaaye


Dard Badhkar Fughan Na Ho Jaaye
Ye Zameen Aasmaan Na Ho Jaaye

Dil Mein Dooba Hua Jo Nashtar Hai
Mere Dil Ki Zubaan Na Ho Jaaye

Read more...

Wednesday 26 December 2012

Koi Kesu Koi Aachal Hame Aawaz Na de


Koi Kesu Koi Aachal Hame Aawaz Na de
Ab Kisi Aakh Ka Kajal Hame Awaz Na de

Hum Hai Khamosh To Khamosh Hi Rehne do Hame
Koi Aahat Koi Halchal Hame Awaj Na de

Read more...

Tere nisar saqiya jitani piyuun pilaye ja


tere nisar saqiya jitani piyuun pilaye ja 
mast nazar ka vasta mast mujhe banaye ja 

tujhako kisi se garaz kya bijali kahin giraye ja 
dil jale ya jigar jale tuu yuun hi muskuraye ja 

Read more...

Saturday 22 December 2012

Rehne ko sadaa dahar mein aata nahin koi


Rehne ko sadaa dahar mein aata nahin koi
tum jaise gaye aise bhi jaata nahin koi

ek baar toh khud maut bhi ghabra gayi hogi
yun maut ko seene se lagaata nahin koi

Read more...

Tuesday 18 December 2012

Hans Ke Bola Karo Bulaya Karo



Hans Ke Bola Karo Bulaya Karo, 
Aapka Ghar Hai Aaya Karo Jaaya Karo, 

Muskurahat Hai Husn Ka Zevar, 
Roop Badhta Hai Muskuraya Karo, 

Read more...

Saturday 8 December 2012

sharab aag hai saki, janta hun magar


sharab aag hai saki, janta hun magar
bana ke aag ko paani, mujhe pilaaye ja

sukoon, jiska naam liya humnashin tune
kahan hai, kaun hai, kya hai, zara bataye ja

Read more...

sham ho, jaam ho, sabu bhi ho


sham ho, jaam ho, sabu bhi ho 
tujh ko paane ki justju bhi ho 

dil se dil ki kahaaniyan bhi sune 
aankhon aankhon mein guftagu bhi ho 

Read more...

Dhal gaya aaftab ae saki


dhal gaya aaftab ae saki 
la pila de sharab ae saki

ya surahi laga mere munh se 
ya ulat de naqab ae saki 

Read more...

Wednesday 5 December 2012

Silsalay tor gia woh sabhi jatay jatay


silsalay tor gia woh sabhi jatay jatay
warna itnay to maraasim thay kay atay jatay

shikwa zulmat shab se to kahin behtar tha
apne hisay ki koee shamaa jalatay jalatay

Read more...
Powered by Legendpoetry All rights reserved